लकड़हारा और कुल्हाड़ी की कहानी



Ek samay ki baat hai, ek gaon mein ek lakadhara rehta hai. Jo ki jungle se lakdiyo ko kaat kar unhe bazar mein bech kar paise kamata tha. Jo bhi paise use lakdi bech kr milte the, voh ussi se apna or apne parivar ka palan poshan karta tha. Ek din vehe jungle me roz ki tarha lakdi katne ke liye gaya, or nadi kinare ek vriksh se lakdi katne laga. Achanak uske hath se kulhadi chhutkar Nadi mein gir gai. Isase lakadhare ko bahut dukh hua aur vah Nadi mein kulhadi dhundhne ka prayatn karne Laga. Lekin usse Nadi mein kulhadi nahin Mili. Is baat se lakadhara bahut jyada dukhi tha aur vah Nadi ke kinare baith kar Rone Laga. Jab vah Nadi kinare ro Raha tha to lakadhare ki awaaz sunkar Nadi se Bhagwan prakat hue. 


Bhagwan Ji ne lakadhare se poochha ki Tum kyun ro rahe ho is per lakadhare ne shuru se ant tak ki puri kahani Bhagwan ko sunai. Lakadhare ki kahani sunkar Bhagwan ko use per Daya a gai aur unhone lakadhare ki mehnat ko dekhte hue uski madad karne ki Yojana banai. Ke bad Bhagwan Ji ne Nadi mein gayab ho gye, aur ek sone ki kulhadi lakadhare ko dete hue bole ye Lo tumhari kulhadi.


Sone ki kulhadi dekhkar lakadhara bola "hey bhagwan" yah kulhadi meri nahi hai, baat Ko sunkar Bhagwan fir bhi Nadi mein gayab ho gaye aur ek Chandi ki kulhadi lakadhare ko dete hue bole ye lo tumhari kulhadi. Barbie lakadhare ne yahi kaha ki yah kulhadi meri nahin hai aur mujhe sirf meri kulhadi chahie. Bhagwan ne fir se Nadi mein gayab hokar ek lohe ki kulhadi nikaali aur lakadhare Ko dete hue kaha yah Lo tumhari kulhadi.


Is bar lakkad hare ke chehre per muskan thi, kyunki yah kulhadi lakadhare ki thi. Usne kaha yah meri kulhadi hai Bhagwan ne lakkad hare ke imandari se Khush hokar use Sone aur Chandi ki donon kulhadiyan bhi usi lakadhare ko de di. Se lakadhara Khushi Khushi Ghar chala Gaya.


Moral of the story

Lakadhare ki kahani se hamein yeh Sikh milati hai hamen hamesha apni imandari per rahana chahie. 

Kyunki jivan mein imandari vyakti ko kabhi bhi nahin Hara sakti.

Comments